Raat ke kisi kone mein
Jahaan aane waale din ki fikar abhi tak pahochi nahi
Aur beetein hue kal ke ghaav itne dukhte nahi
Udhar aapki yaad sabse zyada aati hai
Ye pal raat ke sabse khoobsoorat aur sabse mushkil hote hein
Gulabi, Mulayam aur kaaton se bhare hote hein
Idhar waqt bhi thodi susti karta hai
Thodi aur der usko bhi dekhna hai
Ki meri raat kaise kat ti hai
Idhar khwaab bicha ke main beech me baith jaati hoon
Nami apne aap, baatein karne lagti hai, kisi jaane pehchaane ki tarah
Baaton baaton mein, waqt bhi maan jaata hai, pighalta hai
Phir raat guzarti hai
Ulfat aasaan nahi, aur mai haar maanti nahi
Zid hi hai, sahi bhi hai
Leave a Reply